merī us pyārī jhab se aañkh lagī
us sarāpā ajab se aañkh lagī
ishq meñ ḳhvāb kā ḳhayāl kise
na lagī aañkh jab se aañkh lagī
ḳhvāb meñ bhī na dekhā ham ne lutf
kis sarāpā ġhazab se aañkh lagī
jitne ḳhush-chashm haiñ zamāne meñ
rahtī hai merī sab se aañkh lagī
raat hamsāyoñ kī na sub.h talak
merī afġhān-e-shab se aañkh lagī
yaar aatā nazar nahīñ aatā
hai idhar merī kab se aañkh lagī
rahtī hai us nigāh-e-kāfir kī
ranjish-e-be-sabab se aañkh lagī
mujh ko mat dekh hai balā 'hasrat'
yār-e-āshiq-e-talab se aañkh lagī