be-vafā go mile na tū mujh ko
bas hai terī ye aarzū mujh ko
gardish-e-charḳh se nahīñ pardā
sar pe chahiye vo ḳhāk-e-kū mujh ko
zāhidā hai mirī namāz niyāz
ḳhūn-e-dil ronā hai vazū mujh ko
nāsehā jā ki zikr-e-ishq sivā
ḳhush nahīñ aatī guftugū mujh ko
ban rahā huuñ maiñ ishq kā mazlūm
na satā ai raqīb tū mujh ko
tujh se chāhūñ huuñ nāz-bardārī
ho ga.ī kuchh tirī sī ḳhū mujh ko
sohbat-e-ġhair se huā makrūh
baiThnā tere rū-ba-rū mujh ko
tujh se mahrūm yuuñ rahūñ sad-haif
kyā kyā dil meñ thiiñ aarzū mujh ko
yaar harjā.ī ne kiyā 'hasrat'
dar-ba-dar aur kū-ba-kū mujh ko