Hasrat Azimabadi

aashna kab ho hai ye zikr dil-e-shad ke sath

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
āshnā kab ho hai ye zikr dil-e-shād ke saath
lab ko nisbat hai mire zamzama-e-dād ke saath
bas ki hai chashm-e-muravvat se bharā girya-zār
paḌā phirtā hai mire nāla-o-fariyād ke saath
yaad us lutf-e-huzūrī kā kareñ kyā hāsil
aa paḌā kaam faqat ab to tirī yaad ke saath
zulm hai haq meñ hamāre tirā ab tark-e-sitam
dil ko hai uns sā ik us tirī bedād ke saath
zulf o kākul se qavī husn kā baazū hai mudām
qafas o daam rahe jaise ki sayyād ke saath
ḳhūn-e-nāhaq rahā parvez kī gardan pe vale
lutf-e-shīrīñ ne sitam ye kiyā farhād ke saath
rāstī se bhalā itnā bhī guzarnā kyā hai
nisbat is qad ko na do sarv ke shamshād ke saath
dast o pā kar ke maiñ gum niklā dabe-pāñv kyā
milā vo tifl mujhe raat jo ustād ke saath
'hasrat' itnā jo tū maa.il hai giraftārī kā
kuchh adāvat hai tujhe ḳhātir-e-āzād ke saath
Top Urdushayar.com