hai rashk-e-vasl se ġham-e-dildār hī bhalā
rāhat se aisī ham ko vo dil-āzār hī bhalā
duniyā meñ yaaro yār-e-vafādār hī nahīñ
aur jo na ho to rahnā hai be-yār hī bhalā
ma.ashūq kā nazāra mayassar ho yā na ho
āshiq hamesha tālib-e-dīdār hī bhalā
zaarī pe merī rahm bhī kar aa ḳhudā ko maan
kāfir rahegā ham se tū bezār hī bhalā
atvār-e-bad hai ġhair se ḳhulta mire huzūr
is ke evaz na kar tū hameñ pyaar hī bhalā
zaḳhmoñ se ġham ke terā kaleja to chhil gayā
bulbul hai aise gul se tujhe ḳhaar hī bhalā
ik jur.a dard-e-mai pe ho itnā na talḳh-o-tund
saaqī maiñ aise mast se hoshyār hī bhalā
'hasrat' burā kiyā maiñ uThāyā dil us se kyuuñ
dildār gar na thā to dil-āzār hī bhalā