dāman hai merā dasht kā dāmān dūsrā
merī tarah na phāḌe garebān dūsrā
yak-rañg huuñ maiñ us gul-e-ra.anā ke ishq meñ
bulbul na huuñ ki DhūñDūñ gulsitān dūsrā
thā hī ġham-e-firāq milā us meñ dard-e-rashk
muflis ke ghar meñ aayā ye mehmān dūsrā
terī hayā-e-chashm sā dekhā nahīñ raqīb
yaañ ehtiyāj kyā hai nigahbān dūsrā
uryāñ-tanoñ ke sar pe tirī ḳhāk-e-kū rahe
dar-kārvāñ nahīñ sar-o-sāmān dūsrā
kiije zamīr-e-ḳhāk ko aadam kī chhān agar
us shakl kā ban aave na insān dūsrā
jū-ul-baqar rakhe ye shaiḳh-e-shikam-parast
ik ḳhvān khā kahe hai kahāñ ḳhvān dūsrā
sair-e-ajab rakhe hai tirī jalva-gāh-e-nāz
is lutf kā kahāñ hai ḳhyābān dūsrā
naqd-e-dil us ko denā hai 'hasrat' savāb o farz
us zulf sā na hogā pareshān dūsrā