us zulf se dil ho kar āzād bahut royā
ye silsila-e-ulfat kar yaad bahut royā
rahm us ko na thā hargiz har chand bahāl-e-sag
us kūche meñ maiñ kar kar fariyād bahut royā
mazlūmī mirī aur zulm dekh us but-e-kāfir kā
rahm aayā sitam ke ta.iiñ be-dād bahut royā
dil ġham se na ho ḳhālī rone se mirā lekin
tā ho mire rone se vo shaad bahut royā
is ishq kī majbūrī nāseh pe khulī jab se
kar man.a-e-mohabbat kā irshād bahut royā
dekhī na ḳhudā-tarsī ik gabr o musalmāñ se
har ik se talab kar kar maiñ daad bahut royā
anjām mohabbat kā būjhā thā magar us ko
jab dil lagā shīrīñ se farhād bahut royā
hai tāza-giraftāroñ kī fariyād ko kyā riqqat
shab naala mirā sun kar sayyād bahut royā
sañgīñ-dilī us but kī maiñ jis se kahī 'hasrat'
har-chand dil us kā thā faulād bahut royā