saaqī haiñ roz-e-nau-bahār yak do sah chaar panj o shash
de mujhe jām-e-ḳhush-gavār yak do sah chaar panj o shash
bosa maiñ lūñgā gin ke yaar yak do sah chaar panj o shash
kah chukā bas maiñ ek baar yak do sah chaar panj o shash
pahuñcheñ na tujh ko gul-izār yak do sah chaar panj o shash
ruḳh tirā ek aur bahār yak do sah chaar panj o shash
ghereñ raheñ haiñ tujh ko yaar yak do sah chaar panj o shash
said tū jo kare shikār yak do sah chaar panj o shash
sub.h-e-visāl kā bhī din dekhūñgā ai ḳhudā kabhī
ho chukīñ shām-e-intizār yak do sah chaar panj o shash
jī mirā chāhtā hai yuuñ hove jo dastaras kabhī
tujh par karūñ maiñ jāñ-nisār yak do sah chaar panj o shash
bosoñ ke tere lab pe haiñ mere udhār be-shumār
de hai tū kuchh bhī kar shumār yak do sah chaar panj o shash
hijr kī shab ai māh-rū ro ro gineñ haiñ sub.h tak
taare ye chashm-e-ashk-bār yak do sah chaar panj o shash
uñgliyoñ pe ginūñ huuñ maiñ ghaḌiyāñ umīd-e-vasl meñ
juuñ gine sāhib-e-qimār yak do sah chaar panj o shash
shash-jihat-e-jahāñ ke pech muñh karūñ jidhar ko maiñ
hote haiñ mujh se ġham do-chār yak do sah chaar panj o shash
'hasrat'-e-ġham-zada kā ġham khāvegā tū agar na yaar
us ke haiñ tujh se ġham-gusār yak do sah chaar panj o shash