kab talak pīvegā tū tar-dāmanoñ se mil ke mul
ek dam ai ġhuncha-lab ham se kabhī to khil ke khul
be-sar-o-bargoñ ko kyā nisbat hai sair-e-bāġh se
dāġh-e-dil haiñ ham tahī-dastān-e-pā dar-gil ke gul
us kī jañg-e-be-sabab kā hai taġhāful hī ilaaj
aap Dhelā ho ke āvegā idhar Dhal Dhal ke Dhul
zer-e-abrū is tarah mizhgāñ nahīñ rahtī mudām
sar pe mere juuñ rahe hai teġh us qātil kī tul
rabt kuchh bazm-e-mashā.eḳh se nahīñ rindoñ ke ta.iiñ
kab liye ye mast sāġhar ke sivā qulqul kī qul
ho sake to baḳhiya o marham kā yaaro vaqt hai
jaañ na jaave is tan-e-majrūh meñ ghā.el ke ghul
bā-qad-e-ḳham-gashta huuñ rone se nit ke maiñ ḳharāb
mauj-e-dariyā toḌte haiñ jis tarah pil pil ke pul
chille kī mānind khīñchūñ jab talak bar meñ na tañg
kab miTe hai us but-e-harjā.ī-e-chanchal kī chul
daur meñ us zulf ke hai bas ki dīvānoñ kī dhuum
suntā huuñ chāroñ taraf se maiñ sadā-e-ġhul ke ġhul
'hasrat' us ke daam meñ phañsnā muqaddar thā mirā
the mirī nazroñ meñ to pech-o-ḳham us kākul ke kul