Hasrat Azimabadi

in donon ghar ka KHana-KHuda kaun ghair hai

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
in donoñ ghar kā ḳhāna-ḳhudā kaun ġhair hai
shaiḳh-e-haram abas the inkār-e-dair hai
ai yār-e-be-ḳhabar tū mirī le na le ḳhabar
vird-e-zabāñ tirā hī mujhe zikr-e-ḳhair hai
ġhībat meñ kyā ta.alluq use yaad se mirī
kuchh kaam us kā aTkā bhalā mujh baġhair hai
parvā hai kab use mire raf.a-e-malāl se
gah shāġhil-e-shikār kabhī gasht-e-sair hai
be-vaj.h kyā haiñ ham se ye be-rūiyāñ tirī
kyā ham meñ aur tujh meñ kisī rū se bair hai
insān rakkhe ishq kī nisbat se imtiyāz
yuuñ qaid-e-ḳhvāb-o-ḳhur meñ to har vahsh va tair hai
apnī galī meñ dekh ke 'hasrat' ko bolā yaar
chal jā pare ho duur agar terī ḳhair hai
Top Urdushayar.com