bīmār haiñ to ab dam-e-īsā kahāñ se aa.e
is dil meñ dard-e-shauq-o-tamannā kahāñ se aa.e
bekār sharh-e-lafz-o-ma.ānī se fā.eda
jab tū nahīñ to shahr meñ tujh sā kahāñ se aa.e
har chashm sañg-e-kizb-o-adāvat se surḳh hai
ab aadmī ko zindagī karnā kahāñ se aa.e
vahshat havas kī chaaT ga.ī ḳhāk-e-jism ko
be-dar gharoñ meñ shakl kā saaya kahāñ se aa.e
jaḌ se ukhaḌ ga.e to badaltī rutoñ se kyā
be-āb ā.īnoñ meñ sarāpā kahāñ se aa.e
sāyoñ pe e'timād se uktā gayā hai jī
tūfāñ meñ zindagī kā bharosa kahāñ se aa.e
ġham ke thapeḌe le ga.e nāgan se lambe baal
rātoñ meñ jañgaloñ kā vo saaya kahāñ se aa.e
'nāhīd' faishanoñ ne chhupā.e haiñ aib bhī
chashme na hoñ to aañkh kā parda kahāñ se aa.e