dil ne paayā jo mire muzhda tirī paatī kā
muñh phirā sū-e-badan jān-e-ba-lab aatī kā
yuuñ to ai yār-e-dil-afroz tū sab kā hai vale
daaġh jāñ-soz nirāyā hai mirī chhātī kā
dil dam-e-āh-e-sahar-ḳhez chalā jaatā hai
mutribā chup hai tū kyuuñ vaqt hai parbhātī kā
dil-e-afsurda ko hai soz-e-darūñ se kyā rabt
kaam kyā ḳhāna-e-vīrāñ meñ diye-bātī kā
is jahāñ meñ sifat-e-ishq se mausūf haiñ ham
na karo aib hamāre hunar-e-zātī kā
yaar sun sun ke sab ahvāl-e-ḳharāb-e-'hasrat'
bolā kyā kaam hai yaañ aise ḳharābātī kā