Hasrat Azimabadi

hum ishq siwa kam hain kisi nam se waqif

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
ham ishq sivā kam haiñ kisī naam se vāqif
na kufr ke mahram haiñ na islām se vāqif
talqīn kare arz-e-tamannā hameñ us se
mahram nahīñ hai us but-e-ḳhud-kām se vāqif
vo daur-e-visāl aah kidhar hai ki ham aur vo
duniyā meñ na the nāma-o-paiġhām se vāqif
kyā pūchho ho ham ravish-e-bāġh-o-chaman ko
ham to rahe kunj-e-qafas-o-dām se vāqif
shīrīnī-e-bosa se mazāq us kā ho phir talḳh
āshiq jo huā lazzat-e-dushnām se vāqif
bad-nām na kar ishq ko jā kaam kar apnā
hai ahl-e-havas tū nahīñ is kaam se vāqif
āġhāz-e-mohabbat ke maze ne kiyā ġhāfil
ab tak na the ham us ke bad-anjām se vāqif
Top Urdushayar.com