Hasrat Azimabadi

yar ibtida-e-ishq se be-zar hi raha

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
yaar ibtidā-e-ishq se be-zār hī rahā
bedard dil ke dar piye āzār hī rahā
jis din se dost rakhtā huuñ us ko hijāb-e-husn
apnā hamesha dushman-e-dīdār hī rahā
ye ishq-e-parda-dar na chhupāyā chhupā dareġh
siitā hamesha maiñ lab-e-iz.hār hī rahā
qaid-e-farañg-e-zulf na kāfir ko ho nasīb
jo vaañ phañsā hamesha giraftār hī rahā
jāñ-baḳhsh thā jahāñ kā masīhā-e-lab tirā
lekin maiñ us ke daur meñ bīmār hī rahā
gar qatl-e-be-gunāh thā manzūr yaar ko
marne pe apne maiñ bhī to tayyār hī rahā
daurān-e-lutf maiñ tire ai mub.hvis-navāz
mahrūm vasl se ye gunahgār hī rahā
'hasrat' hamesha us kī shab-e-intizār meñ
juuñ tāla-e-raqīb maiñ bedār hī rahā
Top Urdushayar.com