Hasrat Azimabadi

qasid-e-KHush-fal laya uske aane ki KHabar

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
qāsid-e-ḳhush-fāl laayā us ke aane kī ḳhabar
dil to ḳhush kartā hai baare ye bahāne kī ḳhabar
vo but-e-be-raham ham se yuuñ judā.ī kar gayā
haa.e kis kāfir ko thī is bad zamāne kī ḳhabar
bulbulo do din ġhanīmat hai ye fursat aish kī
baaġh se hai aaj kal hī gul ke jaane kī ḳhabar
tā-abad ḳhālī rahe yā-rab diloñ meñ us kī jā
jo koī laave mire ghar us ke aane kī ḳhabar
mere dil ko nisbat-e-farhād-o-majnūñ aar hai
duur ho mujh ko nahīñ hai is divāne kī ḳhabar
kaun kis kī ishq ke zindāñ meñ ġham-ḳhvārī kare
ḳhūn-e-dil letā hai mere piine khāne kī ḳhabar
aa gayā nādān tū us ke fareb-e-lutf meñ
mujh ko 'hasrat' sab thī us ke dil lubhāne kī ḳhabar
Top Urdushayar.com