Hasrat Azimabadi

dekhen tujhe na aawenge hum

Hasrat Azimabadi

Patna, Bihar, India

1727-1795
dekheñ tujhe na āveñge ham
kahnā nahīñ kar dikhāveñge ham
ye jaur koī uThāve kab tak
uTh dar hī se tere jāveñge ham
ghar se mujhe mat nikāl sun rakh
jāveñge to phir na āveñge ham
tū qat-e-nazar to ham se kar dekh
nazroñ se tujhe girāveñge ham
do din kabhū tire ghar na aaveñ
ghar apne tujhe bulāveñge ham
ghar us kā to DhūñD kar ke paayā
yā-rab use ghar bhī pāveñge ham
aġhmāz kare hai sab samajh kar
kyā haal use sunāveñge ham
bose to diye haiñ tiiñ tū hañs hañs
gaalī tirī kyuuñ na khāveñge ham
itnī bhī pakā na merī chhātī
ai ġhair tujhe rijhāveñge ham
dil vo tujhe pūchhe yā na pūchhe
par yaad tirī dilāveñge ham
taab us kī jafāoñ kī kisī tarah
'hasrat' ab to na lāveñge ham
Top Urdushayar.com