Rashid Anwar Rashid

ret qabiz thi bahut KHamosh lagti thi nadi

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
ret qābiz thī bahut ḳhāmosh lagtī thī nadī
paar karte vaqt ye jaanā ki gahrī thī nadī
jis jagah ab hai ghanī ābādiyoñ kā silsila
kal usī qasbe ke bīchoñ-bīch bahtī thī nadī
ek haibatnāk manzar dil ko dahlātā huā
rāsta apnā achānak phir se badlī thī nadī
us ke andar kī ḳhamoshī meñ ġhazab kā raaz thā
apne ik maḳhsūs lai meñ gungunātī thī nadī
mil ke lahroñ se bhī sañgam ko tarastī hī rahī
is safar meñ aisā lagtā hai akelī thī nadī
dekh qadmoñ kī thakan vo roktī apnā bahāo
aur mere ik ishāre par hī chaltī thī nadī
ye bharam thā so rahī hai vo bhañvar-āġhosh meñ
Dūbne kī aa ga.ī naubat ki jaagī thī nadī
ab baḌī ho kar samundar kī tarah lagne lagī
chand barsoñ pahle dekhā thā to chhoTī thī nadī
pul shikasta thā magar sayyāh to be-ḳhauf the
garmiyoñ ke din the chāroñ samt sūkhī thī nadī
Top Urdushayar.com