ab to ik pal ke liye bhī na gañvā.eñge tumheñ
ḳhud ko hāreñge magar jiit ke lā.eñge tumheñ
ham ko patthar ke pighalne kā amal dekhnā hai
Dūbte Dūbte āvāz lagā.eñge tumheñ
dil pe ik bojh hai kuchh soch ke Dar lagtā hai
qissa-e-dard kabhī aur sunā.eñge tumheñ
zāhirī āñkheñ hameñ DhūñDh kahāñ pā.eñgī
chashm-e-bātin se jo dekho nazar ā.eñge tumheñ
haiñ abhī paas bahut paas magar sach kahnā
duur ho jaa.eñ to kyā yaad na ā.eñge tumheñ