dast-e-imkāñ meñ koī phuul khilāyā jaa.e
ḳhema-e-ḳhvāb meñ ta.abīr ko laayā jaa.e
aao chalte haiñ kisī aur hī duniyā meñ jahāñ
ḳhud ko ġham kar ke kisī aur ko paayā jaa.e
dil meñ vahshat jo nahīñ dasht-navardī kaisī
be-ḳhudī chhoḌ ke ab hosh meñ aayā jaa.e
jis kā har gosha sisaktā hai sadā detā hai
is ilāqe meñ kabhī lauT ke jaayā jaa.e
ek muddat se tamannā bhī thī masrūf-e-riyāz
naġhma-e-qalb ko ab saaz pe gaayā jaa.e