Rashid Anwar Rashid

yun na begana raho git sunati hai hawa

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
yuuñ na begāna raho giit sunātī hai havā
dil kī sargoshī suno giit sunātī hai havā
zindagī saaz hai is saaz pe naġhme chheḌo
tum bhī kuchh ḳhvāb buno giit sunātī hai havā
raat ke pichhle pahar ḳhvāb-libāda taj kar
aaj tum ḳhud se milo giit sunātī hai havā
raah meñ ā.eñgī chaTTāneñ bahut sī lekin
mauj ke saath baho giit sunātī hai havā
shab ke sāhil pe ka.ī jugnū dikhā.ī deñge
koī ġhamgīn na ho giit sunātī hai havā
aisī chāhat meñ nahīñ koī qabāhat lekin
apnā bhī dhyān rakho giit sunātī hai havā
ḳhushbuoñ ko koī taqsīm kahāñ kar paayā
sarhadeñ toḌ bhī do giit sunātī hai havā
manzileñ baḌh ke tire qadmoñ kā bosa leñgī
ye safar tai to karo giit sunātī hai havā
thak ke jo baiThe to Tolī se bichhaḌ jāoge
aage hī baḌhte chalo giit sunātī hai havā
Top Urdushayar.com