qayām ruuh meñ kar dhyān se utar ke na jā
sukūn baḳhsh mujhe yuuñ tabāh kar ke na jā
tamām umr mujhe tishnagī rulā.egī
mire vajūd ke pyāle meñ pyaas bhar ke na jā
kuchh aisā kar ki tujhe chāhtā rahūñ yuuñ hī
sameT ḳhud ko mirī zaat meñ bikhar ke na jā
tire liye to munāsib abhī hai dar-badarī
ki badle badle se tevar haiñ aaj ghar ke na jā
tujhe ġhurūr mujhe ājizī mile 'rāshid'
yuuñ e'tibār ke pindār se guzar ke na jā