Rashid Anwar Rashid

nazar se dur rahe mujhko aazmae bhi

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
nazar se duur rahe mujh ko āzmā.e bhī
agar vo vaqt nahīñ hai to lauT aa.e bhī
hai ābshār to ehsās ko kare sairāb
vo pyaas hai to mirī tishnagī baḌhā.e bhī
vo mauj hai to mujhe ġharq bhī zarūr kare
hai nāḳhudā to bhañvar se nikāl laa.e bhī
vo ḳhvāb hai to kare bas qayām āñkhoñ meñ
agar hai ḳhauf to nīndeñ mirī uḌaa.e bhī
vo mas.ala hai to merī jabīñ pe raushan ho
vo koī hal hai to dil ko qarār aa.e bhī
nazar-shanās na ho to mujhe bhī taḌpā.e
vo dil-navāz agar hai to maan jaa.e bhī
agar vo aur koī hai to koī baat nahīñ
hai zindagī to añdheroñ meñ gungunā.e bhī
Top Urdushayar.com