taḌap uThtā huuñ yādoñ se lipaT kar shaam hote hī
mujhe Dastā hai merā sard bistar shaam hote hī
parinde āshiyānoñ se panāheñ māñgā karte haiñ
badalne lagtā hai āñkhoñ kā manzar shaam hote hī
har ik lamha na.ī yalġhār kā ḳhatra satātā hai
muḳhālif samt se aate haiñ lashkar shaam hote hī
maiñ būḌhā ho chalā huuñ phir bhī maañ tākīd kartī hai
mire beTe na jaanā ghar se bāhar shaam hote hī
ḳhudāyā ḳhair āḳhir kaun sī bastī meñ aa pahuñchā
paḌosī pheñkne lagte haiñ patthar shaam hote hī
na jaane in dinoñ ḳhāmosh sā rahtā hai kyuuñ din meñ
ubal paḌtā hai jazboñ kā samundar shaam hote hī
ujāle meñ kisī sūrat safar to kaT hī jaatā hai
miyāñ 'rāshid' magar lagtī hai Thokar shaam hote hī