sunā ki ḳhuub hai us ke dayār kā mausam
diloñ pe chhāne lagā phir ḳhumār kā mausam
kabhī kabhī to badan ko pata nahīñ chaltā
ki bāġh-e-rūh meñ kab aayā pyaar kā mausam
maiñ us gulāb ko nārāz kar nahīñ saktā
bhale hī ruuTh ke jaa.e bahār kā mausam
ye ḳhauf dil meñ ubhartā hai dard kī sūrat
badal na jaa.e kahīñ e'tibār kā mausam
maiñ ḳhud bhī milne ko bechain huuñ ye jab se sunā
mirī talāsh meñ hai intizār kā mausam
tamām āb-o-havā meñ gulāl bikhrā hai
ki rañg laayā hai us ke nikhār kā mausam
khile hue haiñ umīdoñ ke phuul dil meñ magar
guzar na jaa.e kahīñ intizār kā mausam
baḌe maze se abhī tak guzar rahe haiñ din
isī tarah rahe qaa.em ḳhumār kā mausam
yahāñ kabhī bhī ḳhizāñ kā guzar nahīñ hogā
yahāñ hamesha rahegā bahār kā mausam
sukūn-e-qalb mayassar ho ḳhvāb puure hoñ
kabhī to aa.e dil-e-be-qarār kā mausam
kisī tarah bhī na inkār kī hai gunjā.ish
ki hai uruuj pe qaul-o-qarār kā mausam
vo achchhe-achchhoñ ko ḳhātir maiñ ab na laatā hai
ki in dinoñ to hai us ke nikhār kā mausam