Rashid Anwar Rashid

nazar mein dhul faza mein ghubar chaaron taraf

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
nazar meñ dhuul fazā meñ ġhubār chāroñ taraf
zarūr phailegā ab intishār chāroñ taraf
tujhe bhī vādī-e-hū ne qubūl kar hī liyā
ab apne aap ko phir se pukār chāroñ taraf
chale bhī aao kahīñ kuchh gumāñ to baaqī rahe
ki Dhal rahī hai shab-e-intizār chāroñ taraf
samajh na paayā koī dard bikhre lamhoñ kā
ye shaam phir se huī ashk-bār chāroñ taraf
tū ab kī baar na bach kar nikalne pā.egā
safar meñ dekh tilismī hisār chāroñ taraf
yahāñ bahisht se aa.ī hai ek sabz parī
isī liye hai fazā meñ nikhār chāroñ taraf
Top Urdushayar.com