Rashid Anwar Rashid

kya koi yaad tere dil ko dukhati hai hawa

Rashid Anwar Rashid

Ranchi, Jharkhand, India

1971
kyā koī yaad tire dil ko dukhātī hai havā
sard sannāTe meñ kyuuñ shor machātī hai havā
ye ḳhabar dī hai parindoñ ne chalo sunte haiñ
jhiil ke paas koī giit sunātī hai havā
baaġh murjhā.e chaman royā hue dasht udaas
sab ko māyūs kahāñ chhoḌ ke jaatī hai havā
ḳhushbūoñ aao Thahar jaao hamāre āñgan
phir ishāroñ meñ bahāroñ ko bulātī hai havā
jo gayā lauT ke aayā hī nahīñ sarhad se
ab kise dasht meñ āvāz lagātī hai havā
jhunD meñ lauTne lagte haiñ sunahre panchhī
sūkhtī shāḳhoñ pe jab phuul khilātī hai havā
ḳhair-maqdam ke liye band darīche kholo
nāz-o-andāz se kis shaan se aatī hai havā
Top Urdushayar.com