ye na sochā thā kaḌī dhuup se rishta bhī to hai
sirf dariyā hī nahīñ raah meñ sahrā bhī to hai
dāstāñ-go kī har ik baat tavajjoh se sunūñ
is hikāyat meñ mire yaar kā qissa bhī to hai
tujh ko chhūne ke liye haath baḌhā.ūñ to lage
phuul ke saath har ik shāḳh meñ kāñTā bhī to hai
ḳhud hī khīñche the hisār us ne magar ab kī baar
mujh se milne vo hadeñ toḌ ke aayā bhī to hai
kashmakash meñ huuñ karūñ tark-e-ta.alluq kaise
us sitamgar pe mire dil ko bharosa bhī to hai
bad-duā ab mire hoñToñ pe machaltī hī nahīñ
isī duniyā meñ mirī chhoTī sī duniyā bhī to hai