musāhibat kā koī silsila nahīñ hai kyā
kisī bhī shaḳhs se ab rābta nahīñ hai kyā
hazār logoñ se pūchhā sabhī haiñ nā-vāqif
yahāñ bhī tujh ko koī jāntā nahīñ hai kyā
tamām rishte farāmosh kar diye tū ne
ta.alluqāt se ab fā.eda nahīñ hai kyā
amīr-e-shahr se hai maslahat bajā lekin
hai baat sach to kaho hausla nahīñ hai kyā
zabān maiñ ne jo kholī to sab haiñ shashdar kyuuñ
tire ḳhilāf koī boltā nahīñ hai kyā
muāmalāt meñ sab taaq par rakheñge usuul
ḳhudā ke bande tujhe kuchh pata nahīñ hai kyā