uḌtī rahtī thī sadā ḳhitta-e-vīrān meñ ḳhaak
aa ga.ī chupke se ab ke mire dālān meñ ḳhaak
mutma.in thā maiñ ki āñdhī ko thame arsa huā
ġhaur se dekhā to qābiz thī dil-o-jān meñ ḳhaak
ḳhvāhisheñ chaak pe rakkhī haiñ ki sūrat ubhre
gard ke saath milī hai mire armān meñ ḳhaak
jis ko bhī dekho vo bad-hāl nazar aatā hai
ab to dāḳhil huī insān ke īmān meñ ḳhaak
bhāgtī-dauḌtī duniyā meñ kise fursat hai
jamtī jaatī hai yahāñ miir ke dīvān meñ ḳhaak
jaane kyā guzregā ab qais pe allāh jaane
ret sahrā meñ nahīñ aur na bayābān meñ ḳhaak