dī ga.ī tartīb-e-bazm-e-kun-fakāñ mere liye
ye zamīñ mere liye hai āsmāñ mere liye
dīdanī hai ḳhud hī apne dil ke zaḳhmoñ kī bahār
hech hai rañgīnī-e-har-gulsitāñ mere liye
zauq-e-sajda chāhiye kaisā haram kaisī kunisht
āstān-e-dost hai har āstāñ mere liye
jāda-e-mehr-o-vafā meñ mar ke zinda ho gayā
maut hai merī hayāt-e-jāvidāñ mere liye
azm-e-kāmil ko mire har-gām par manzil milī
ban ga.iiñ dushvāriyāñ āsāniyāñ mere liye
ho mubārak hazrat-e-zāhid ko firdaus-e-jināñ
hai dayār-e-dost ḳhuld-e-jāvedāñ mere liye
ham-navāoñ ko mubārak halqa-e-zulf-e-butāñ
muztarib zindāñ meñ hoñgī beḌiyāñ mere liye