mānūs ho ga.e haiñ ġham-e-zindagī se ham
ham ko ḳhushī mile to na leñge ḳhushī se ham
phūloñ kī aarzū na kareñge kisī se ham
kāñTe sameT laa.e haiñ un kī galī se ham
ham shām-e-ġham ko sub.h-e-masarrat kā naam deñ
sūraj kareñ tulūa na kyuuñ tīrgī se ham
sach ke liye ham aaj ke suqrāt ban ga.e
piite haiñ jaam zahr kā apnī ḳhushī se ham
ham mil ke ḳhud se ḳhud ko bhī pahchānte nahīñ
apne liye bhī ban ga.e haiñ ajnabī se ham
ġham khāte khāte ho gayā mānūs-e-ġham mizāj
ho jaate haiñ fasurda-o-mahvar ḳhushī se ham
ham ko vatan meñ ab koī pahchāntā nahīñ
apne vatan meñ phirte haiñ ab ajnabī se ham
ban jaa.eñ kyuuñ na ḳhud hī numūd-e-sahar kī zau
'āsī' ziyā talab na kareñ tīrgī se ham