haiñ ahl-e-chaman hairāñ ye kaisī bahār aa.ī
haiñ phuul khile lekin hai rañg na ra.anā.ī
un ke ruḳh-e-rañgīñ se is sā.ad-e-sīmīñ se
phūloñ ne phaban paa.ī sūraj ne ziyā paa.ī
sab mai-kade vīrāñ haiñ sunsān gulistāñ haiñ
kahne ko ghaTā chhā.ī kahne ko bahār aa.ī
madhoshī-o-mastī kā andāz nirālā hai
mai rindoñ ne pī kam hī paimānoñ se chhalkā.ī
tanhā.ī meñ rah kar bhī tanhā nahīñ hote ham
tanhā.ī meñ yādoñ kī jab chaltī hai purvā.ī
is daur meñ jiinā bhī kuchh kam nahīñ marne se
nā-karda gunāhoñ kī jaise ho sazā paa.ī
hañste hue marne ko tayyār jo rahte haiñ
aise hī jiyāloñ ne jiine kī adā paa.ī
is daur ke insāñ kā andāz nirālā hai
apne ko adū samjheñ ġhairoñ se shanāsā.ī