dhuup hālāt kī ho tez to aur kyā māñgo
kisī dāman kī havā zulf kā saaya māñgo
us se kyā kam hai kisī ke ruḳh-e-zebā kī ziyā
māh-o-ḳhurshīd se kyuuñ un kā ujālā māñgo
jis ke ba.ad aur na rah jaa.e tamannā koī
māñgnā ho jo ḳhudā se vo tamannā māñgo
ḳhuub hai dard kī lazzat ye baḌī daulat hai
zaḳhm-e-dil ke liye marham na mudāvā māñgo
jis se chhā.ī huī hālāt kī zulmat chhaT jaa.e
tum to ḳhurshīd ho ḳhud se vo ujālā māñgo
gar shab-e-ġham ko sahar chāho banānā 'āsī'
kisī salmā se ziyā-e-ruḳh-e-zebā māñgo