tujhe ham yaad har-dam ai sitam ījād karte haiñ
yūñhī apne dil-e-nāshād ko ham shaad karte haiñ
basā kar ek duniyā aaj ranj-o-yās-o-hirmāñ kī
ham apne dil ke vīrāne ko phir ābād karte haiñ
asīrī se hameñ kuchh ho ga.ī hai aisī unsiyyat
qafas se chhūT kar bhī ham qafas ko yaad karte haiñ
hamārī fitrat-e-mardāna kī tafrīh hotī hai
karam karte haiñ ham par aap gar bedār karte haiñ