sar jhukā.e sar-e-mahshar jo gunahgār aa.e
us ke andāz pe rahmat ko na kyuuñ pyaar aa.e
jām-o-paimāna se mai-ḳhāna se kyā kaam use
ho ke saaqī kī nigāhoñ se jo sarshār aa.e
dī sadā dil ne zarā aur bhī dushvār ho raah
rāste jab bhī mire sāmne hamvār aa.e
zindagī kyuuñ na mire maut pe un kī jo log
muskurāte hue zindāñ se sar-e-dār aa.e
maiñ ne taz.īn-e-chaman ke liye ḳhuuñ apnā diyā
paa.e phuul auroñ ne hisse meñ mire ḳhaar aa.e
bāñkpan apnī tabī.at kā kabhī kam na huā
sāmne apne koī laakh tarah-dār aa.e
aise jāñ-bāzoñ kī ban jaa.e na kyuuñ maut hayāt
muskurāte hue 'āsī' jo sar-e-dār aa.e