manzil pe le ke pahuñchegā azm-e-javāñ mujhe
kah do na saath le ke chale kārvāñ mujhe
suntā huuñ phir chaman meñ huī ḳhema-zan bahār
aa.e na kyuuñ qafas meñ bhī yaad āshiyāñ mujhe
khoyā huā huuñ un ke tasavvur meñ is tarah
jaise sunā.e un kī koī dāstāñ mujhe
ye jab bhī aa.ī laa.ī naved-e-bahār bhī
phir kyuuñ bahār se na ho pyārī ḳhizāñ mujhe
maiñ ho gayā huuñ kab se nasheman se be-niyāz
kah de koī Darā.e na barq-e-tapāñ mujhe
ik vaqt thā chaman ke liye mar miTe the ham
rahne usī chaman meñ na de bāġhbāñ mujhe