kyā masarrat hai pūchhiye ham se
hai ibārat har ik ḳhushī ġham se
araq-ālūd aap kā chehra
ho dhulā phuul jaise shabnam se
zabt-e-girya se rāz-e-ġham thā chhupā
khul gayā aaj chashm-e-pur-nam se
dard-e-dil kā nahīñ koī darmāñ
zaḳhm kyā mundamil ho marham se
dar-haqīqat qarīb rahte haiñ
vo ba-zāhir hī duur haiñ ham se
jab azal se ḳhatā zamīr meñ hai
kyuuñ ḳhatā ho na ibn-e-ādam se