ġham ko sabāt hai na ḳhushī ko qarār hai
jo kal thā ḳhanda-rez vo aaj ashk-bār hai
kahtī hai os phuul se o be-ḳhud-e-nashāt
rū-e-ḳhizāñ bhī zer-e-hijāb-e-bahār hai
jab tak jalī jalā kī havā aa.ī bujh ga.ī
ye zindagī bhī sham-e-sar-e-rah-guzār hai
jis kā nafas kī āmad-o-shud par madār ho
aisī hayāt kā bhī koī e.atibār hai
ik maiñ hī bad-nasīb huuñ mahrūm-e-imbisāt
duniyā ke lab pe zikr bahāroñ kā rahe
apnī bahār vaqf-e-ḳhizāñ ho chukī to ho
har-sū jo shor-e-āmad-e-fasl-e-bahār hai
'āsī' tarab-kada thā kabhī ye dil-e-hazīñ
ai vaa.e aaj hasrat-o-ġham kā mazār hai