qafas-nasīboñ kā uf hāl-e-zār kyā hogā
phir aa rahī hai chaman meñ bahār kyā hogā
dil-o-jigar pe liye hoñge zaḳhm kitnoñ ne
koī hamārī tarah dil-e-figār kyā hogā
isī ḳhayāl se maiñ arz-e-shauq kar na sakā
hayā se rañg-e-ruḳh-e-tāb-dār kyā hogā
bahār de na sakī ek phuul ko bhī nikhār
ḳhizāñ ke saath hai rañg-e-bahār kyā hogā
fasurda lāla-o-gul haiñ ravish ravish hai udaas
chaman meñ aise meñ jashn-e-bahār kyā hogā
ḳhadañg-e-nāz ne kuchh is tarah kiyā zaḳhmī
jo dil ke zaḳhm haiñ un kā shumār kyā hogā
kabhī kī TuuT ga.ī aas raat bhiig ga.ī
kisī ke aane kā ab intizār kyā hogā