ajiib shahr kā naqshā dikhā.ī detā hai
jidhar bhī dekho añdherā dikhā.ī detā hai
nazar nazar kī hai aur apne apne zarf kī baat
mujhe to qatre meñ dariyā dikhā.ī detā hai
burā kahe jise duniyā burā nahīñ hotā
mirī nazar meñ vo achchhā dikhā.ī detā hai
nahīñ fareb-e-nazar ye yahī haqīqat hai
mujhe to shahr bhī sahrā dikhā.ī detā hai
haiñ sirf kahne ko bijlī ke qumqume raushan
har ek samt añdherā dikhā.ī detā hai
ajiib haal hai sailāb ban ga.e sahrā
jise bhī dekhiye pyāsā dikhā.ī detā hai