bāb-e-qafas khulne ko khulā hai
bāhar bhī to daam bichhā hai
us ke sivā sab bhuul gayā huuñ
jab se vo mire dil meñ basā hai
baḌhne lagī hai dil kī dhaḌkan
shāyad us ne yaad kiyā hai
qāfile vaalo ḳhair manāo
rahzan hī jab rāh-numā hai
sāhil sāhil bhī kyā chalnā
maujoñ pe safīna Daal diyā hai
apnī marzī apnī razā kyā
sab se baḌh kar us kī razā hai
aaj ke insāñ kī mat pūchho
jaise ḳhudā se bhī ye baḌā hai