ḳhvāb meñ aao mire rañgīn ḳhvāboñ kī tarah
paḌh sakūñ tum ko maiñ rūmānī kitāboñ kī tarah
dījiye tashbīh kyā un ko mah-o-ḳhurshīd se
ek chehra un kā hai sau āftāboñ kī tarah
chāhe gar insāñ to ban saktī hai lā-fānī hayāt
zindagī insān kī go hai habāboñ kī tarah
jaise mahfūm-o-ma.ānī se hoñ aarī saare hī
paḌhtā huuñ ik ek chehre ko kitāboñ kī tarah
tishnagī sab kī bujhā.eñ bahr-e-be-pāyāñ baneñ
ban ke duniyā meñ raheñ ham kyuuñ sarāboñ kī tarah