hai apne qatl kī dil-e-muztar ko ittilā.a
gardan ko ittilā.a na ḳhanjar ko ittilā.a
be-parda aaj niklegā parda-nashīñ mirā
kar de ye koī mahr-e-munavvar ko ittilā.a
chhup-chhup ke ab jo niklo to ma.alūm ho maza
kar dī hai maiñ ne aap ke ghar bhar ko ittilā.a
bulbul na baaz aa.iyo fariyād-o-āh se
kab tak na hogī qalb-e-gul-e-tar ko ittilā.a
kis tarah kar diyā dil-e-nāzuk ko chuur chuur
is vāqi.a kī ḳhaak hai patthar ko ittilā.a
kyā kaam inqalāb kā kuchh bhī nahīñ yahāñ
daur-e-falak ke daura-e-sāġhar ko ittilā.a
haT jaa.e ik taraf but-e-kāfir kī raah se
de koī jald dauḌ ke mahshar ko ittilā.a
chalne bhī vo na paa.e the apne maqām se
pahle se ho ga.ī dil-e-muztar ko ittilā.a
maiñ saḳht-jāñ huuñ qasd kare dekh-bhāl kar
pahle se ho ga.ī hai ye ḳhanjar ko ittilā.a
'parvīñ' riyāz-e-ḳhuld meñ kis kis ko jaam deñ
pahle se hai ye sāqī-e-kausar ko ittilā.a