ab koī tirā misl nahīñ nāz-o-adā meñ
andāz meñ shoḳhī meñ sharārat meñ hayā meñ
maġhrūr se sarkash mutavāze pe huuñ qurbāñ
miTTī meñ to miTTī huuñ havā huuñ maiñ havā meñ
kyā ḳhuub vo ḳhud karte haiñ yuuñ apnī satā.ish
aafat huuñ jalāne meñ qayāmat huuñ jafā meñ
ġhairat nahīñ aatī tumheñ har baat meñ baiThe
ulfat meñ mohabbat meñ muravvat meñ vafā meñ
jab ho dam-e-āḳhir to bachā lene kī tāqat
phir ḳhāk-e-shifā meñ na kahīñ āb-e-baqā meñ
vo chāhe to sab kuchh hai na chāhe to nahīñ kuchh
ta.avīz meñ ganDe meñ fatīle meñ duā meñ
ik adnā sā parda hai ik adnā sā tafāvut
maḳhlūq meñ ma.abūd meñ bande meñ ḳhudā meñ
surḳhī ke sabab ḳhuub khilā hai gul-e-lāla
aariz meñ laboñ meñ kaf-e-dast o kaf-e-pā meñ
ushshāq kī ḳhūñ-rezī se kyā fā.eda zālim
mashġhūl ho lākhe meñ to masrūf hinā meñ
āshiq to hamesha hai mohabbat kī badaulat
ilzām meñ taqsīr meñ isyāñ meñ ḳhatā meñ
ham bhī the kabhī ḳhūbi-e-taqdīr se 'parvīñ'
arfāt meñ muzdalfa meñ makka meñ minā meñ