Parveen Umm-e-Mushtaq

jo dil mera nahin mujhe us dil se kya gharaz

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
jo dil mirā nahīñ mujhe us dil se kyā ġharaz
chalnī na ho jo raah to manzil se kyā ġharaz
Dūbūñgā gar hai mere muqaddar meñ Dūbnā
ġhavvās-e-bahr-e-ishq ko sāhil se kyā ġharaz
vo dil ko dekhtā hai na a.amāl-e-zāhirī
lailā ke ḳhvāst-gār ko mahmil se kyā ġharaz
suntā hai kaun āshiqoñ kī āh-o-zāriyāñ
gosh-e-chaman ko shor-e-anādil se kyā ġharaz
ham us ke shefta haiñ raqīboñ se vāsta
gul se ġharaz hai fauj-e-anādil se kyā ġharaz
martā huuñ aur jā nahīñ saktā sū-e-adam
mujh nā-tavāñ ko tauq-o-salāsil se kyā ġharaz
kyuuñ dar-pai-e-talāsh haiñ ahbāb-o-aqrabā
'parvīñ' shahīd-e-nāz ko qātil se kyā ġharaz
Top Urdushayar.com