Parveen Umm-e-Mushtaq

nek-o-bad ki jise KHabar hi nahin

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
nek-o-bad kī jise ḳhabar hī nahīñ
shar hai kam-baḳht vo bashar hī nahīñ
vo haiñ kis haal meñ ḳhabar hī nahīñ
sar bhī nīchā hai ik nazar hī nahīñ
haath ḳhālī hai māl-o-zar hī nahīñ
kyā uḌeñ jabki bāl-o-par hī nahīñ
mai kī bābat ḳhayāl kar vaa.iz
is meñ naf.e bhī haiñ zarar hī nahīñ
sharm se tere rū-e-raushan ke
shams bhī zard hai qamar hī nahīñ
jis ke baa.is hai zindagī be-lutf
lutf ye hai use ḳhabar hī nahīñ
raah har dil ko hotī hai dil se
mere dil kī unheñ ḳhabar hī nahīñ
yaar to qatl-e-ām kar Daale
teġh bāñdhe kahāñ kamar hī nahīñ
zabt kī nisbat aap kā hai ḳhayāl
maiñ huuñ āshiq mire jigar hī nahīñ
mere siine ko chiir kar dekho
dil bhī rotā hai chashm-e-tar hī nahīñ
āsmāñ laakh baar dushman ho
kyā ho barbād mere ghar hī nahīñ
kaun kahtā hai mujh ko saudā.ī
ek muddat se mere sar hī nahīñ
ham qayāmat se bhī hue be-fikr
shab-e-hijrāñ kī jab sahar hī nahīñ
paañv phailā.e mast hote haiñ
fuqarā kyūñki māl-o-zar hī nahīñ
vo to mujh ko jalā.e jā.eñge
ba.ad murdan bhī umr bhar hī nahīñ
ba.ad murdan hai hashr kā khaTkā
merī jaañ fikr se mafar hī nahīñ
murġh be-vaj.h chīḳhe jaatā hai
ye na bole to jānvar hī nahīñ
zulm par ab hai āsmāñ nādim
sar bhī nīchā hai ik nazar hī nahīñ
tauba tauba hazār-hā sharteñ
kyā batā.ūñ agar magar hī nahīñ
phirte ho saikḌoñ nadīdoñ meñ
tum ko ḳhauf-e-nazar guzar hī nahīñ
aadmī aadmī hai izzat se
aab jis meñ na ho guhar hī nahīñ
kam hai ye zād-e-rāh ai 'parvīñ'
tum ko andāza-e-safar hī nahīñ
Top Urdushayar.com