Parveen Umm-e-Mushtaq

nikali jae kis tarkib se taqrir ki surat

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
nikālī jaa.e kis tarkīb se taqrīr kī sūrat
vo ā.īne kī sūrat aur maiñ tasvīr kī sūrat
giraftār-e-mohabbat kar liyā bātoñ hī bātoñ meñ
tasalsul se numāyāñ ho ga.ī zanjīr kī sūrat
ziyāda ā.īne se hai munavvar mus.haf-e-āriz
aur is par ḳhāl-e-mushkīñ āya-e-tat.hīr kī sūrat
tire tevar badalte hī zamāna ho gayā dushman
hilāl-e-īd bhī zāhir huā shamshīr kī sūrat
sitam ho jā.egā gar baal bhī bekā huā us kā
nikal kar aah siine se ga.ī hai tiir kī sūrat
kabhī mīThī nigāheñ haiñ kabhī tevar badalte haiñ
na martā huuñ na jiitā huuñ ye hai ta.azīr kī sūrat
maza kyā us but-e-be-pīr se dil ke lagāne kā
jo ḳhalvat meñ ho but mahfil meñ ho tasvīr kī sūrat
ḳhafā hote hī kuchh kā kuchh bhavoñ kā ho gayā naqsha
kabhī ḳhanjar kī sūrat aur kabhī shamshīr kī sūrat
jise mil jaa.e ḳhāk-e-pāk-e-dasht-e-karbalā 'parvīñ'
palaT kar bhī na dekhe vo kabhī iksīr kī sūrat
Top Urdushayar.com