Parveen Umm-e-Mushtaq

hijr mein gham ki chaDhai hai ilahi tauba

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
hijr meñ ġham kī chaḌhā.ī hai ilāhī tauba
kyā nasībe kī burā.ī hai ilāhī tauba
kitne kānoñ ke vo kachche haiñ ki allāh kī panāh
kyā raqīboñ kī ban aa.ī hai ilāhī tauba
naala ho aah ho fariyād ho yā zaarī ho
yaar tak sab kī rasā.ī hai ilāhī tauba
ho chukā qatl jahāñ teġh bhī uThne kī nahīñ
kis qadar narm kalā.ī hai ilāhī tauba
shaiḳh-sāhib bhī nahīñ bach ke yahāñ se nikle
kis qadar un ko pilā.ī hai ilāhī tauba
dil-lagī aap se kī ḳhalq meñ badnām hue
nek-nāmī ye kamā.ī hai ilāhī tauba
chaah kar tum ko bhalā aur ko kyūñkar chāhūñ
vaah kyā dil meñ samā.ī hai ilāhī tauba
le ga.e chhīn ke dil mail nahīñ chitvan par
kitnī diida meñ safā.ī hai ilāhī tauba
bosa māñgā to kahā shukr-e-ḳhudā achchhā huuñ
baat kyā jald uḌaa.ī hai ilāhī tauba
nahīñ ma.alūm ki kis shaḳhs kā muñh dekhā hai
aaj phir ġham kī chaḌhā.ī hai ilāhī tauba
kūcha-e-ishq kī sach pūchho to ham ne 'parvīñ'
kis qadar ḳhaak uḌaa.ī hai ilāhī tauba
Top Urdushayar.com