nargisīñ aañkh bhī hai abru-e-ḳhamdār ke paas
dūsrī aur bhī talvār hai talvār ke paas
dushmanoñ kā mirī qismat se hai qaabū mujh par
yaar ke paas hai dil yaar hai aġhyār ke paas
yaad rakhnā jo huī va.ada-ḳhilāfī un kī
bistara aan jamegā tirī dīvār ke paas
qaidī-e-zulf kī qismat meñ hai ruḳhsār kī sair
shukr hai baaġh bhī hai murġh-e-giraftār ke paas
chehra bhī barq bhī dil lene meñ gesū bhī balā
ek sā mo.ajaza hai kāfir o dīñ-dār ke paas
ġhair be-jurm haiñ aur maiñ huuñ vafā kā mujrim
kaun aatā bhalā mujh se gunahgār ke paas
qabr meñ so.eñge ārām se ab ba.ad-e-fanā
aa.egā ḳhvāb-e-adam dīda-e-bedār ke paas
us kī kyā vaj.h mire hote vahāñ kyuuñ na raheñ
kyuuñ rahe zulf-e-siyah aap ke ruḳhsār ke paas
hoshiyārī se ho 'parvīñ' chaman-e-husn kī sair
daam aur daana haiñ donoñ ruḳh-e-dil-dār ke paas