Parveen Umm-e-Mushtaq

karenge zulm duniya par ye but aur aasman kab tak

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
kareñge zulm duniyā par ye but aur āsmāñ kab tak
rahegā piir ye kab tak rahoge tum javāñ kab tak
ḳhudāvandā inheñ kis din shu.ūr aa.egā duniyā kā
raheñgī be-paḌhī-likhī hamārī laḌkiyāñ kab tak
phiregā aur kitne din ḳhayālī paar ghoḌe par
uḌegā sher-goī meñ na engine kā dhuāñ kab tak
inān-e-hukmarānī dekhiye kis din ḳhudā legā
raheñge qismatoñ par hukmarāñ ye āsmāñ kab tak
diye jā.eñge kab tak shaiḳh-sāhib kufr ke fatve
raheñgī un ke sandūqcha meñ diiñ kī kunjiyāñ kab tak
chalī jā.egī ik hī ruḳh havā taaki zamāne kī
na puurā hogā terā daur ye ai āsmāñ kab tak
tahammul ḳhatm hote hī baḌī bad-nāmiyāñ hoñgī
tumhāre ḳhauf se 'parvīñ' na kholegī zabāñ kab tak
Top Urdushayar.com