Parveen Umm-e-Mushtaq

dil mein tir-e-ishq hai aur farq par shamshir-e-ishq

Parveen Umm-e-Mushtaq

1944
dil meñ tīr-e-ishq hai aur farq par shamshīr-e-ishq
kyā batā.eñ paḌ ga.ī hai paañv meñ zanjīr-e-ishq
dekhne vaale ye kahte haiñ kitāb-e-dahr meñ
tū sarāpā husn kā naqsha hai maiñ tasvīr-e-ishq
kohkan aur qais mil jaa.eñ to maiñ un se kahūñ
le ga.e kyā saath hī qabroñ meñ tum tāsīr-e-ishq
vāh-re insāf itnā bhī na vaañ pūchhā gayā
ye qusūr-e-husn hai yā asl meñ tāsīr-e-ishq
baat karne se bhī nafrat ho ga.ī dildār ko
vāh-re iz.hār-e-ulfat vāh-re tāsīr-e-ishq
kyā sabab kyā vaj.h kyuuñ aa kar nikal jaa.e shikār
kyuuñ nishāna par na jā.egā hamārā tīr-e-ishq
pahle apnā sar qalam karvā.e phir tayyār ho
har kisī kā kaam hai jo likh sake tafsīr-e-ishq
daulat-e-dīdār hasb-e-mudda.ā hāsil huī
mil ga.ī jis shaḳhs ko taqdīr se iksīr-e-ishq
husn-e-jānāñ kī kashish duniyā meñ baaqī rah ga.ī
bad-nasībī se hamārī uḌ ga.ī tāsīr-e-ishq
tū bhī gul ke ā.īne par khīñch de tasvīr-e-husn
maiñ bhī bulbul ko sunā.ūñ baaġh meñ taqrīr-e-ishq
kyā shikāyat us kī 'parvīñ' ye to hotī aa.ī hai
pahle ulfat kī thī izzat aur na ab tauqīr-e-ishq
Top Urdushayar.com